Online Bollywood Karaoke on Google Play Store MeraGana Karaoke is available on Google play store. Bollywood Karaoke,Hindi Karaoke, Punjabi Karaoke online Get it from Google Play Store
MeraGana uses cookies for use of the site. By continuing to use our site, you accept our use of cookies. our Privacy Policy and Terms of Service.  
We added new tracks to our online Karaoke please visit Newsletter Archive  
Meragana
Close
MeraGana
Meragana Portal
Close
Play Song
HomeChitra Singh
HomeChitra Singh
MeraGana
Close
Search Karaoke Songs 
clear text      
0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z    Show All


is mein koi shikwa na shikayat na gila hai ye bhi koi khat hai ye bhi koi khat hai ke muhabbat se bhara hai ye bhi koi khat hai ke muhabbat se bhara hai is mein koi shikwa na shikayat na gila hai kya yaad dilaayenge mujhe mere sitam ka kya yaad dilaayenge mujhe mere sitam ka har naksh sitam khud mere seene pe likha hai har naksh sitam khud mere seene pe likha hai ye bhi koi khat hai ke muhabbat se bhara hai is mein koi shikwa na shikayat na gila hai mujhko meri aawaaz sunaayi nahin deti mujhko meri aawaaz sunaayi nahin deti mujhko meri aawaaz sunaayi nahin deti mujhko meri aawaaz sunaayi nahin deti kaisa ye mere jism mein ek shor macha hai kaisa ye mere jism mein ek shor macha hai chehre mein hai aaina ke aaine mein chehra chehre mein hai aaina ke aaine mein chehra maaloom nahin kaun kisse dekh raha hai maaloom nahin kaun kisse dekh raha hai ye bhi koi khat hai ke muhabbat se bhara hai is mein koi shikwa na shikayat na gila hai
Ishq Fana Ka Naam Hai
jis mod par kiye the humne qaraar barson jis mod par kiye the humne qaraar barson us se lipat ke roye us se lipat ke roye deewaana waar barson jis mod par kiye the humne qaraar barson jis mod par kiye the tum gulsitaan se aaye zikre khizaan hilaaye tum gulsitaan se aaye zikre khizaan hilaaye humne kafas mein dekhi humne kafas mein dekhi fasle bahaar barson jis mod par kiye the humne qaraar barson jis mod par kiye the hoti rahi hai yun to barsaat aansuon ki hoti rahi hai yun to barsaat aansuon ki uthte rahe hain phir bhi dil se gubaar barson jis mod par kiye the wo sang e dil tha koi begaana e wafa tha wo sang e dil tha koi begaana e wafa tha karte rahe hain jiska karte rahe hain jiska hum intezaar barson jis mod par kiye the humne qaraar barson us se lipat ke roye us se lipat ke roye deewaana waar barson jis mod par kiye the humne qaraar barson jis mod par kiye the
kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah mera wajood hai jalte huye makaan ki tarah kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah main ek khwaab sahi aapki amanat hoon main ek khwaab sahi aapki amanat hoon mujhe sambhal ke rakhiyega jism o jaan ki tarah mera wajood hai jalte huye makaan ki tarah kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah kabhi to soch ke wo shaks kis kadar tha buland kabhi to soch ke wo shaks kis kadar tha buland jo bichh gaya tere kadmon mein aasmaan ki tarah mera wajood hai jalte huye makaan ki tarah kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant guzar na jaaye ye rut bhi kahin khizaan ki tarah mera wajood hai jalte huye makaan ki tarah kabhi to khul ke baras abr e meherbaan ki tarah
khuda humko aisi khudaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de ke apne siwa kuchh dikhaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de khatawaar samjhegi duniyaa tujhe khatawaar samjhegi duniyaa tujhe ab itni jyaada safaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de hanso aaj itna ke iss shor mein hanso aaj itna ke iss shor mein sadaa siskiyon ki sunaayi naa de khuda humko aisi khudaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de abhi to badan mein lahoo hai bahot abhi to badan mein lahoo hai bahot kalam chheen le roshnaayi naa de khuda humko aisi khudaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de khuda aise ehsaas ka naam hai khuda aise ehsaas ka naam hai rahe saamne aur dikhaayi naa de khuda humko aisi khudaai naa de ke apne siwa kuchh dikhaai naa de khuda humko aisi khudaai naa de
kisi ko de ke dil koi nawaasanj e fughaan kyun ho na ho jab dil hi seene mein to phir munh mein zubaan kyun ho wafa kaisi kahaan ka ishq jab sar phodna thehra to phir aye sang dil tera hi sang e aastaan kyun ho yahi hai aazmaana to sataana kis ko kehte hain aduu ke ho liye jab tum to mera imtihaan kyun ho qafas mein mujh se roodaad e chaman kehte na dar humdam giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaan kyun ho
kisi ranjish ko hawa do ke main zinda hoon abhi kisi ranjish ko hawa do ke main zinda hoon abhi mujhko ehsaas dila do ke main zinda hoon abhi mere rukne se meri saansen bhi ruk jaayengi mere rukne se meri saansen bhi ruk jaayengi faasle aur badha do ke main zinda hoon abhi mujhko ehsaas dila do ke main zinda hoon abhi zehar peene ki to aadat thi zamaane waalon zehar peene ki to aadat thi zamaane waalon ab koi aur dawaa do ke main zinda hoon abhi chalti raahon mein yunhin aankh lagi hai faakir chalti raahon mein yunhin aankh lagi hai faakir bheed logon ki hataa do ke main zinda hoon abhi kisi ranjish ko hawa do ke main zinda hoon abhi mujhko ehsaas dila do ke main zinda hoon abhi
laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari jaisi laaj rakhi arjun ki jaisi laaj rakhi arjun ki bhaarat yudh majhhari saarathi hoke rath ko haakyo saarathi hoke rath ko haakyo chakra shudarshan dhari bhakt ki tek na taari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari jaisi laaj rakhi dropati ki jaisi laaj rakhi dropati ki khoon na deni ughari khenchat khenchat do bhuj thaaki khehchat khenchat do bhuj thaaki dushshasan pachthayi cheer barhayo muraari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari soordas ki laaj rakho prabhu soordas ki laaj rakho prabhu ab ko hai rakhwari radhe radhe shrivar pyaaro radhe radhe shrivar pyaaro shrivrashubhan dulari sharan me aayo tumhari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari laaj rakho girdhaari
Lab E Khamosh Se
aawara hain galiyon mein main aur meri tanhai jaayen to kahaan jaayen jaayen to kahaan jaayen har mod pe ruswai main aur meri tanhai main aur meri tanhai ye phool se chehre hain haste hue guldaste koi bhi nahin apna begaane hain sab raste raahein bhi tamashai raahein bhi tamashai main aur meri tanhai main aur meri tanhai armaan sulagate hain seene mein chita jaise kaatil nazar aati hai duniya ki hawa jaise roti hai mere dilpar bajti hui shehnai main aur meri tanhai main aur meri tanhai har rang mein ye duniya sau rang dikhaati hai ro kar kabhi hasti hai has kar kabhi gaati hai ye pyaar ki bahein hain ya maut ki angdaayi main aur meri tanhai main aur meri tanhai main aur meri tanhai main aur meri tanhai
mera dil bhi shauq se todo mera dil bhi shauq se todo ek tajurba aur sahi laakh khilone tod chuke ho laakh khilone tod chuke ho ek khilona aur sahi mera dil bhi raat hai ghum ki aaj bhujha do jalta hua har ek charaag raat hai ghum ki aaj bhujha do jalta hua har ek charaag dil mein andhera ho hi chuka hai dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahi mera dil bhi dam hai nikalta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo dam hai nikalta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo laakh tamaashe dekhe honge laakh tamaashe dekhe honge ek nazaara aur sahi mera dil bhi khanjar le kar sochte kya ho qatl muraad bhi kar daalo khanjar le kar sochte kya ho qatl muraad bhi kar daalo daag hain sau daaman pe tumhaare daag hain sau daaman pe tumhaare ek izaafa aur sahi mera dil bhi shauq se todo ek tajurba aur sahi laakh khilone tod chuke ho ek khilona aur sahi mera dil bhi
mere dukh ki koi dawa na karo mere dukh ki koi dawa na karo mujhko mujhse abhi juda na karo mere dukh ki koi dawa na karo naa khuda ko khuda ka gumaan hai to phir naa khuda ko khuda ka gumaan hai to phir doob jaao khuda khuda na karo doob jaao khuda khuda na karo mere dukh ki koi dawa na karo ye sikhaya hai dosti ne humen ye sikhaya hai dosti ne humen ye sikhaya hai dosti ne humen dost ban kar kabhi wafaa na karo dost ban kar kabhi wafaa na karo mere dukh ki koi dawa na karo ishq hai ishq ye mazaak nahin ishq hai ishq ye mazaak nahin chand lamhon mein faislaa na karo chand lamhon mein faislaa na karo mere dukh ki koi dawa na karo aashiqui ho ke bandagi faaqir aashiqui ho ke bandagi faaqir aashiqui ho ke bandagi faaqir bedili se to ipteda na karo bedili se to ipteda na karo mere dukh ki koi dawa na karo mujhko mujhse abhi juda na karo mere dukh ki koi dawa na karo
muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer jamuna ke teer hoo jamuna ke teer jamuna ke teer hoo jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer murli ki dhun mero man har leeno murli ki dhun murli ki dhun mero mann har leeno murli ki dhun mero mann har leeno cheet dharat nahin dheer cheet dharat nahin dheer muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer kaaro kanhaiya kaari kamariya kaaro kanhaiya kaaro kanhaiya kaari kamariya kaaro kanhaiya kaari kamariya kaaro jamuna ka neer kaaro jamuna ka neer muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer meera ke parbhu girdhar naagar meera ke parbhu meera ke parbhu girdhar naagar meera ke parbhu girdhar naagar charan kamal par seer charan kamal par seer muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer jamuna ke teer hoo jamuna ke teer jamuna ke teer hoo jamuna ke teer muraliya baaje re jamuna ke teer muraliya baaje
neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuch der mein duniya kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai baandh rakha hai kisi soch ne ghar se humko baandh rakha hai kisi soch ne ghar se humko warna apna dar o deewar se rishta kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai rait ki eent ki patthar ki hoon ya mitti ki rait ki eent ki patthar ki hoon ya mitti ki kisi deewar ke saye ka bharosa kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai apni daanist mein samjhe koi duniya shahid apni daanist mein samjhe koi duniya shahid warna hathon mein lakeeron ke ilaawa kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuchh der mein duniya kya hai neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
paseene paseene huye ja rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho ye bolo kahan se chale aa rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho humein sabra karne ko keh to rahe ho humein sabra karne ko keh to rahe ho magar dekh lo khud hi ghabara rahe ho ye bolo kahan se chale aa rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho ye kiski buri tumko nazar lag gayi hai ye kiski buri tumko nazar lag gayi hai bahaaron ke mausam mein murjhha rahe ho ye bolo kahan se chale aa rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho ye aaina hai ye to sach hi kahega ye aaina hai ye to sach hi kahega kyun apni haqeeqat se katra rahe ho ye bolo kahan se chale aa rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho ye bolo kahan se chale aa rahe ho paseene paseene huye ja rahe ho
prabhuji tum chandan hum paani prabhuji tum chandan hum paani jaake ang ang baas samaani prabhuji tum chandan hum paani prabhuji tum ghan ban hum mora prabhuji tum ghan ban hum mora jaise chitwat chand chakora prabhuji tum ghan ban hum mora prabhuji tum deepak hum baati prabhuji tum deepak hum baati jaaki jyot barai dini raati prabhuji tum deepak hum baati prabhuji tum moti hum dhaga prabhuji tum moti hum dhaga jaise soneh milat suhaga prabhuji tum moti hum dhaga prabhuji tum swami hum dasa prabhuji tum swami hum dasa aisi bhakti karai raidasa prabhuji tum swami hum dasa prabhuji tum swami hum dasa
raat bhi neend bhi kahani bhi raat bhi neend bhi kahani bhi haaye kya cheez hai jawaani bhi raat bhi neend bhi kahani bhi dil ko sholon se karte hain sailaab dil ko sholon se karte hain sailaab zindagi aag bhi hai paani bhi zindagi aag bhi hai paani bhi haaye kya cheez hai jawaani bhi khalq kya kya mujhe nahin kehti khalq kya kya mujhe nahin kehti kuchh sunu main teri zubaani bhi paas rehna kisi ka raat ki raat paas rehna kisi ka raat ki raat mehmaani bhi mezbaani bhi mehmaani bhi mezbaani bhi haaye kya cheez hai jawaani bhi raat bhi neend bhi kahani bhi
saare badan ka khoon paseene mein jal gaya saare badan ka khoon paseene mein jal gaya itna chale ke jism hamara pighal gaya saare badan ka khoon paseene mein jal gaya chalte ke gin rahe the musibat ke raat din chalte ke gin rahe the musibat ke raat din dum lene hum jo baith gaye dum nikal gaya itna chale ke jism hamara pighal gaya saare badan ka khoon paseene mein jal gaya achha hua jo raah mein thokar lagi hamein achha hua jo raah mein thokar lagi hamein hum gir pade to saara zamaana sambhal gaya itna chale ke jism hamara pighal gaya saare badan ka khoon paseene mein jal gaya wahshat mein koi saath humaara na de saka wahshat mein koi saath humaara na de saka daaman ke fikr ki to garebaan nikal gaya itna chale ke jism hamara pighal gaya saare badan ka khoon paseene mein jal gaya
safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo yahaan kisi ko koi raasta nahin deta yahaan kisi ko koi raasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo yehi hai zindagi kuchh khaab chand ummeeden yehi hai zindagi yehi hai zindagi kuchh khaab chand ummeeden inhin khilonon se tum bhi behal sako to chalo inhin khilonon se tum bhi behal sako to chalo safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo safar mein
tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain kabhi hum chot khate hain kabhi hum muskurate hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain hum aksar doston ki bewafayi seh to lete hain hum aksar doston ki bewafayi seh to lete hain magar hum jaante hain dil humare toot jaate hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aayi kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aayi thaki aankhon mein ashqon ke sitare jhilmilate hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain ye kaisa ishtiyake deed hai aur kaisi majboori ye kaisa ishtiyake deed hai aur kaisi majboori kisi ki bazm tak jaa jaa ke hum kyun laut aate hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain kabhi hum chot khate hain kabhi hum muskuraten hain tamannaon ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain
  Songs Title Sort Song Title Ascending Sort Song Title Descending Film/Album Sort Album Name Ascending Sort Album Name Descending Duration Song Number  

Is Mein Koi Shikwa Na Shikayat Chitra Singh 05:28 37973
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 05:28   Song Number : 37973   

Ishq Fana Ka Naam Hai Chitra Singh 03:25 36760
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Jigar Moradabadi
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 03:25   Song Number : 36760   

Jis Mod Par Kiye The Chitra Singh 05:56 40518
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Sudarshan Faakir
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 05:56   Song Number : 40518   

Kabhi To Khul Ke Baras Chitra Singh 05:18 37971
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Prem Varbartani
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 05:18   Song Number : 37971   

Khuda Humko Aisi Khudai Na De Chitra Singh 06:47 15958
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 06:47   Song Number : 15958   

Kisi Ko De Ke Dil Chitra Singh 03:24 40519
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Mirza Ghalib
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 03:24   Song Number : 40519   

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi Chitra Singh 04:18 15697
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 04:18   Song Number : 15697   

Laaj Rakho Girdhaari Chitra Singh 06:00 32011
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Devotional
Lyricist
Sooradas
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 06:00   Song Number : 32011   

Lab E Khamosh Se Chitra Singh 07:26 37975
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 07:26   Song Number : 37975   

Main Aur Meri Tanhai (Female) Chitra Singh 07:04 17868
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 07:04   Song Number : 17868   

Mera Dil Bhi Shauq Se Todo Chitra Singh 06:32 40963
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Murad Lucknowi
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 06:32   Song Number : 40963   

Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo Chitra Singh 07:04 14699
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 07:04   Song Number : 14699   

Muraliya Baaje Re Jamuna Ke Teer Chitra Singh 05:32 35874
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Devotional
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 05:32   Song Number : 35874   

Neend Se Aankh Khuli Hai Chitra Singh 06:09 32458
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Lyricist
Nazir Bakri
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 06:09   Song Number : 32458   

Paseene Paseene Huye Ja Rahe Ho Chitra Singh 05:02 32025
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 05:02   Song Number : 32025   

Prabhuji Tum Chandan Hum Paani Chitra Singh 04:43 32012
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Devotional
Lyricist
Rai Das
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 04:43   Song Number : 32012   

Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi Chitra Singh 03:36 32026
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 03:36   Song Number : 32026   

Saare Badan Ka Khoon Chitra Singh 06:18 15987
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 06:18   Song Number : 15987   

Safar Mein Dhoop To Hogi Chitra Singh 06:12 16005
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Duration : 06:12   Song Number : 16005   

Tamannaon Ke Behlave Mein Chitra Singh 05:11 17871
 
Poster of Chitra Singh
 
Category
Ghazal
Singer- 
Chitra Singh
Duration : 05:11   Song Number : 17871