Online Bollywood Karaoke on Google Play Store MeraGana Karaoke is available on Google play store. Bollywood Karaoke,Hindi Karaoke, Punjabi Karaoke online Get it from Google Play Store
MeraGana uses cookies for use of the site. By continuing to use our site, you accept our use of cookies. our Privacy Policy and Terms of Service.  
We added new tracks to our online Karaoke please visit Newsletter Archive  
Meragana
Close
MeraGana
Meragana Portal
Close
Play Song
HomeGulzar
HomeGulzar
MeraGana
Close
Search Karaoke Songs 
clear text      
0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z    Show All


golmaal hai bhayi sab golmaal hai golmaal hai bhayi sab golmaal hai are golmaal hai bhayi sab golmaal hai har seedhe raste ki ek tedhi chaal hai seedhe raste ki ek tedhi chaal hai golmaal hai bhayi sab golmaal hai golmaal golmaal golmaal hai sab golmaal hai bhukh roti ki ho to paisa kamaayiye paisa kamaane ke liye bhi paisa chaahiye maange se na mile to paseena bahaayiye behta hai jab paseena to rumaal chaahiye ho golmaal hai bhayi sab golmaal hai golmaal golmaal hai golmaal hai bhayi sab golmaal hai har seedhe raste ki ek tedhi chaal hai seedhe raste ki ek tedhi chaal hai golmaal hai bhayi sab golmaal hai golmaal golmaal golmaal hai sab golmaal hai rumaal ban gaya bhi gar kameez phaad kar kameez ke liye bhi to phir kapda chaahiye are kapda kisi ne daan hi mein de diya chalo darji ke paas jaake wo pehle silaayiye ho golmaal hai bhayi sab golmaal hai golmaal golmaal hai golmaal hai bhayi sab golmaal hai hey hey hey har seedhe raste ki ek tedhi chaal hai seedhe raste
gulmohar gar tumhara naam hota gulmohar gar tumhara naam hota mausam e gul ko hansaana bhi humara kaam hota gulmohar gar tumhara naam hota aayengi bahaaren to ab ke unhen kehna zara itna sune aayengi bahaaren to ab ke unhen kehna zara itna sune hooo mere gul bina unka kahaan bahaar naam hota gulmohar gar tumhara naam hota mausam e gul ko hansaana bhi humara kaam hota gulmohar gar tumhara naam hota shaam ke gulaabi se aanchal mein ek diya jala hai chaand ka shaam ke gulaabi se aanchal mein ek diya jala hai chaand ka hooo mere unn bina uss ka kahaan chaand naam hota gulmohar gar tumhara naam hota mausam e gul ko hansaana bhi humara kaam hota gulmohar gar tumhara naam hota
haal chaal thik thaak hai sab kuchh thik thaak hai ba kiya hai ma kiya lagta hai woh bhi awaye kiya kaam nahin hai warna yahaan aap ki dua se sab thik thaak hai haal chaal thik thaak hai sab kuchh thik thaak hai hai hai hai aaboo hawaa desh ki bahut saaf hai kaayda hai kanoon hai insaaf hai allah miyan jaane koi jiye ya mare aadmi ko khoon woon sab maaf hai aaboo hawaa desh ki bahut saaf hai kaayda hai kanoon hai insaaf hai allah miyan jaane koi jiye ya mare aadmi ko khoon woon sab maaf hai aur kya kahoon chhoti moti chori rishwatkhori deti hai apna guzaara yahaan aap ki dua se baaki thik thaak hai haal chaal thik thaak hai sab kuchh thik thaak hai hai hai hai aaa aaaa aaa aaaa aaaaaaa aaaaaaa aaaaa gol mol roti ka pahiyaa chala peechhe peechhe chandi ka rupaiya chala roti ko bechari ko cheel le gayi chandi leke munh kaala kaua chala gol mol roti ka pahiyaa chala peechhe peechhe chandi ka rupaiya chala roti ko bechari ko cheel le gayi chandi leke munh kaala kaua
aaaaaa aaaaaa aaaaaaa aaaaaa aaaaaa aaaaaaa hoooo hoooo hoooooooo haath chhute bhi to rishte nahin chhuta karte haath chhute bhi to rishte nahin chhuta karte waqt ki shaakh se waqt ki shaakh se lamhen nahin toota karte haath chhute bhi to rishte nahin chhuta karte aaaaaa aaaaaa aaaaaaa aaaaaa aaaaaa aaaaaaa hoooo hoooo hoooooooo hoooo hoooo hoooooooo hoooo hoooo hoooooooo jisne pairon ke nishaan bhi nahin chhode peechhe jisne pairon ke nishaan bhi nahin chhode peechhe uss musaafir kaaaaa uss musaafir ka pata bhi nahin poochha karte haath chhute bhi to rishte nahin chhuta karte tune aawaaz nahin di kabhi mud ke warna tune aawaaz nahin di kabhi mud kar warna hum kai sadiyaan hum kai sadiyaan tujhe ghumke dekha karte haath chhute bhi to rishte nahin chhuta karte sa sa pa pa pa pa pa pa pa pa pa dha ma dha ma sa sa pa pa pa pa pa pa pa pa pa dha ma pa dha sa sa dha dha dha dha dha dha dha dha dha pa ma pa dha ni ni ni ni ni ni sa sa ni ni ni ni ni ni dha ni sa aaaaaa
humen raaston ki zaroorat nahin hai humen tere paaon ke nishaan mil gaye hain humen raaston ki zaroorat nahin hai humen tere paaon ke nishaan mil gaye hain humen raaston ki bhatakne ka dar hai na khone ka dar hai jahaan tera saaya wahaan apna ghar hai bhatakne ka dar hai na khone ka dar hai jahaan tera saaya wahaan apna ghar hai zameen pe humen hoo oo oo zameen pe humen aasmaan mil gaye hain humen raaston ki zaroorat nahin hai humen tere paaon ke nishaan mil gaye hain humen raaston kii badi aarzoo thi ki wo din bhi aaye tere naam se hum khud ko bulaayen badi aarzoo thi ki wo din bhi aaye tere naam se hum khud ko bulaayen tere naam se hoooo tere naam se do jahaan mil gaye hain humen raaston ki zaroorat nahin hai humen tere paaon ke nishaan mil gaye hain hmm hmm hmm hmm hmm
kaun sa tan haaye barmaaye re humri atariya pe aaja re saanwariya dekha dekhi tanik hoi jaaye humri atariya pe aaja re saanwariya dekha dekhi tanik hoi jaaye humri atariya pe kiwadiya se lag ke piya kare jhaanka jhaanki bahut kaudi phenke piya udaave jahaan ki haay kiwadiya se lag ke piya kare jhaanka jhaanki bahut kaudi phenke piya udaave jahaan ki kasam deve jaan ki aaja gilauri khilai doon kimaami laali pe laali tanik hui jaaye aaja gilauri khilai doon kimaami laali pe laali tanik hui jaaye humri atariya pe padosan ke gharva jaiho jaiho na sanwariya sautan se boli mori kaate jeheriya jeheri nazariya aaja atariya pe pilai doon angoori jora jori tanik huyi jaaye aaja atariya pe pilai doon angoori jora jori tanik huyi jaaye humri atariya pe aaja re saanwariya dekha dekhi tanik hoi jaaye humri atariya pe kaun sautan haaye barmaaye re
hawaaon pe likh do hawaaon ke naam hum anjaan pardesiyon ka salaam hawaaon pe likh do hawaaon ke naam ye kis ke liye hai bataa kis ke naam ye kis ke liye hai bataa kis ke naam o panchi tera ye surilaa salaam hawaaon pe likh do hawaaon ke naam shaakh par jab dhoop aayee haath chhoone ke liye chhaanw chham se neeche koodi has ke boli aaiye yahaan subah se khela karti hai shaam hawaaon pe likh do hawaaon ke naam chul bulaa ye paani apni raah behna bhool kar lete lete aaina chamkaa raha hai phool par ye bhole se chehare hain masoom naam hawaaon pe likh do hawaaon ke naam hum anjaan pardesiyon ka salaam hawaaon pe likh do hawaaon ke naam
hazaar raahen mudd ke dekhin kahin se koi sada na aayee badee wafa se nibhaayee tum ne humaari thodi si bewafaai jahan se tum mod mudd gaye the jahan se tum mod mudd gaye the ye mod ab bhi wahin pade hain hum apne pairon mein jaane kitne hum apne pairon mein jaane kitne bhanwar lapete hue khade hain badee wafa se nibhaayee tum ne humaari thodi si bewafaai kahin kisi roz yun bhi hota kahin kisi roz yun bhi hota humari haalat tumhari hoti jo raat hum ne guzaree mar ke jo raat hum ne guzaree mar ke wo raat tum ne guzaree hoti badee wafa se nibhaayee tum ne humaari thodi si bewafaai tumhen ye zid thi ke hum bulaate humein ye ummeed wo pukaarein hai naam hothon pe ab bhi lekin aawaaz mein pad gayee daraarein hazaar raahen mudd ke dekhin kahin se koi sada na aayee badee wafa se nibhaayee tum ne humaari thodi si bewafaai humaari thodi si bewafaai
Ho Bahut Raat Hue
hum bhool gaye hain rakh ke kahin wo cheez jise dil kehte the wo cheez jise dil kehte hain hum bhool gaye hain rakh ke kahin wo cheez jise dil kehte the wo cheez jise dil kehte hain hum bhool gaye hain rakh ke kahin ummeed bhi ajnabi lagti hai aur dard paraaya lagta hai ummeed bhi ajnabi lagti hai aur dard paraaya lagta hai aaine mein jisko dekha tha bichhchhda hua saaya lagta hai aaine mein jisko dekha tha bichhchhda hua saaya lagta hai hum bhool gaye hain rakh ke kahin wo cheez jise dil kehte the wo cheez jise dil kehte hain hum bhool gaye hain rakh ke kahin naa jaane kahaan chhod aaye hain wo shaks jise hum jaante the naa jaane kahaan chhod aaye hain wo shaks jise hum jaante the aahat bhi sunaayi deti nahin parchhaayi se hum pehchaante the aahat bhi sunaayi deti nahin parchhaayi se hum pehchaante the hum bhool gaye hain rakh ke kahin wo cheez jise dil kehte the wo cheez jise dil kehte hain hum bhool gaye hain rakh ke kahin wo cheez jise dil kehte the wo cheez
hum ko mann ki shakti denaa mann vijay karein dusron ki jay se pehle khud ko jay karein hum ko mann ki shakti denaa mann vijay karein dusron ki jay se pehle khud ko jay karein hum ko mann ki shakti denaa bhedbhaav bhedbhaav apne dil se saaf kar sakein bhedbhaav apne dil se saaf kar sakein doston se bhool ho to maaf kar sakein doston se bhool ho to maaf kar sakein joothh se bache rahein sach kaa dum bharein joothh se bache rahein sach kaa dum bharein dusron ki jay se pehle khud ko jay karein hum ko mann ki shakti denaa mann vijay karein dusron ki jay se pehle khud ko jay karein hum ko mann ki shakti denaa mushkilen padein to hum pe itnaa karm kar mushkilen padein to hum pe itnaa karm kar saath dein to dharm kaa chalein to dharm par saath dein to dharm kaa chalein to dharm par khud pe hauslaa rahe badee se naa darein khud pe hauslaa rahe badee se naa darein dusron ki jay se pehle khud ko jay karein hum ko mann ki shakti denaa mann vijay karein dusron ki jay se pehle
humne dekhi hai unn aankhon ki mehakti khushboo haath se chhoo ke isse rishton ka ilzaam naa do sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam na do humne dekhi hai unn aankhon ki mehakti khushboo haath se chhoo ke isse rishton ka ilzaam naa do humne dekhi hai pyaar koi bol nahin pyaar aawaaz nahin ek khamoshi hai sunti hai kaha karti hai naa ye bujhti hai naa rukti hai naa thaheri hai kahin noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam naa do humne dekhi hai unn aankhon ki mehakti khushboo haath se chhoo ke isse rishton ka ilzaam naa do humne dekhi hai muskurahat si khili rehti hai aankhon mein kahin aur palkon pe ujale se jhuke rehti hain honth kuchh kehte nahin kaanpate hothon pe magar kitne khamosh se afsaane ruke rehte hain sirf ehsaas hai ye rooh se mehsoos karo pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam naa do humne dekhi hai unn aankhon ki mehakti khushboo haath
humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka saaz ho tum saaz ki aawaaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka geet ho tum geet ka andaaz hum humsafar mere humsafar aankh ne sharmaa ke keh di dil ke sharmaane ki baat ek deewaane ne sun li duje deewaane ki baat pyaar ki tum inteha ho pyaar ka aagaaz hum pyaar ka aagaaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka geet ho tum geet ka andaaz hum humsafar mere humsafar zikr ho ab aasmaan ka yaa zamin ki baat ho khatm hoti hai tumhin par ab kahin ki baat ho ho hasin tum mehjabeen tum naazni tum naaz hum naazni tum naaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka saaz ho tum saaz ki aawaaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka saaz ho tum saaz ki aawaaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka saaz ho tum saaz ki aawaaz hum humsafar mere humsafar pankh tum parvaaz hum zindagi ka saaz ho tum saaz ki aawaaz hum humsafar
aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye khule aam aanchal naa lehraa ke chaliye huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye khule aam aanchal naa lehraa ke chaliye huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye koi manchalaa gar pakad legaa aanchal koi manchalaa gar pakad legaa aanchal zaraa sochiye aap kyaa ki jiyegaa lagaa de agar badh ke zulfon mein kaliyaan lagaa de agar badh ke zulfon mein kaliyaan to kyaa apni zulfein jhatak dijiyegaa huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye khule aam aanchal naa lehraa ke chaliye huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye bahut khubsoorat hai har baat lekin bahut khubsoorat hai har baat lekin agar dil bhi hotaa to kyaa baat hoti likhi jaati phir daastaan e muhabbat likhi jaati phir daastaan e muhabbat ik afsaane jaisi mulakaat hoti huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye khule aam aanchal naa lehraa ke chaliye huzoor iss kadar bhi naa itraa ke chaliye
Ishq Di Baajiyaan
iss mod se jaate hain kuchh sust kadam raste kuchh tez kadam raahein iss mod se jaate hain kuchh sust kadam raste kuchh tez kadam raahein patthar ki haveli ko sheeshe ke gharondon mein tinkon ke nasheman tak iss mod se jaate hain iss mod se jaate hain aandhi ki tarha ud kar ik raah guzarti hai aandhi ki tarha ud kar ik raah guzarti hai sharmaati hui koyi kadmon se utarti hai in reshmi raahon mein ik raah to wo hogi tum tak jo pahonchti hai iss mod se jaati hain iss mod se jaate hain ik door se aati hai paas aake palatti hai ik door se aati hai paas aake palatti hai ik raah akeli si rukti hai na chalti hai ye soch ke baithi hoon ik raah to wo hogi tum tak jo pahonchti hai iss mod se jaate hain iss mod se jaate hain kuchh sust kadam raste kuchh tez kadam raahein patthar ki haveli ko sheeshe ke gharondon mein tinkon ke nasheman tak iss mod se jaate hain iss mod se jaate hain
ee eeeee na ee ee ee na ee eeeee ee ee eeee ee ee eeeeeee na ee ee eeeeee eeeeee na jaag ke kaati saari raina jaag ke kaati saari raina nainon mein kal oos giri thi nainon mein kal oos giri thi jaag ke kaati saari raina jaag ke kaati saari raina prem ki agni bujhti nahin hai beheti nadiya rukti nahin hai prem ki agni bujhti nahin hai beheti nadiya rukti nahin hai saagar tak behete do naina saagar tak behete do naina jaag ke kaati saari raina jaag ke kaati saari raina roohu ke bandhan khulte nahin hain daag hai dil ke dhulte nahin hain roohu ke bandhan khulte nahin hain daag hai dil ke dhulte nahin hain karvat karvat baaki raina karvat karvat baaki raina jaag ke kaati saari raina nainon mein kal oos giri thi nainon mein kal oos giri thi jaag ke kaati saari raina ee ee eeeeee ee ee eeeeee ee ee ee ee ee ee ee naaa ee ee ee ee ee ee aaaaa ee ee aaaa aaaaaa ee ee aaaaaa jaag ke kaati saari raina
jaane do mujhe jaane do jaane do mujhe jaane do ranjishen yaa gile wafaa ke sile jo gaye jaane do jaane do mujhe jaane do jaane do mujhe jaane do ranjishen yaa gile wafaa ke sile jo gaye jaane do jaane do mujhe jaane do thodi khalish hogi thodaa saa ghum hoga aa thodi khalish hogi thodaa saa ghum hoga tanhaayi to hogi ehsaas kam hoga gehri kharaashon ki gehri nishaaniyaan hain chehre ke neeche kitni saari kahaaniyaan hain maaji ke silsile ja chuke jaane do na aa aa jaane do mujhe jaane do jaane do mujhe jaane do ummid o shauq saare lauta rahi hoon main ummid o shauq saare lauta rahi hoon main ruswaayi thodi si le jaa rahi hoon main baasi dilaason ki shab to guzaar aaye aankhon se gard saari ro ke utaar aaye aankhon ke bulbule beh gaye jaane do na aa aa jaane do mujhe jaane do jaane do mujhe jaane do ranjishen yaa gile wafaa ke sile jo gaye jaane do jaane do mujhe jaane do oo
kitni anjaani soorten le kar lab pe jaane se naam aate hain kis ko maaloom tha muhabbat mein aise aise muqaam aate hain jaane kahaan dekha hai kahaan dekha hai tumhen jaane kahaan dekha hai kahaan dekha hai tumhen jaagi jaagi ankhiyon ke sapnon mein jaane kahaan dekha hai kahaan dekha hai tumhen jamuna kinaareeeeeee ayeeee eee eeeee eeee jamuna kinaare kabhi bheegi bheegi choli mein saanware ke sang kabhiiiiii saanware ke sang kabhi gopiyon ki toli mein kahaan kahaan poochha hai kahaan kahaan dhundha hai kahaan dekha hai tumhen jaagi jaagi ankhiyon ke sapnon mein jaane kahaan dekha hai kahaan dekha hai tumhen hoooo oooo oooo oooo oooo ooooo oooooo oooooo raavi ke kinaare jahaaaaaaaaan heer ki saheliyaan poochhti hai raanjhen waaliiiiii pyaar ki paheliyaan kahaan kahaan poochha hai kahaan kahaan dhundha hai kahaan dekha hai tumhen jaagi jaagi ankhiyon ke sapnon mein jaane kahaan dekha hai kahaan dekha hai tumhen neel ke kinaareeeeeeeeee ayeeeee eeee eeeee eeeee
jaane kaise beetegi yeh barsaaten jaane kaise beetegi yeh barsaaten mange huye din hain mangi huyi raaten jaane kaise beetegi yeh barsaaten mange huye din hain mangi huyi raaten jaane kaise beetegi dhuwan dhuwan sa rehta hai bujhi bujhi si aankhon mein aaaaaaaa dhuwan dhuwan sa rehta hai bujhi bujhi si aankhon mein sulag rahe hain geele aansu aag lagati hain barsaten mange huye din hain mangi huyi raaten jaane kaise beetegi bhara hua tha dil shayad chhalak gaya hai seene mein bhara hua tha dil shayad chhalak gaya hai seene mein behne lage hain sare shikwe badi gamgeen hain dil ki baaten mange huye din hain mangi huyi raaten jaane kaise beetegi yeh barsaaten mange huye din hain mangi huyi raaten jaane kaise beetegi
  Songs Title Sort Song Title Ascending Sort Song Title Descending Film/Album Sort Album Name Ascending Sort Album Name Descending Duration Song Number  

Golmaal Hai Bhai Sab Golmaal Hai Golmaal (1979) 04:54 38114
 
Poster of Golmaal (1979)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1979
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
Duration : 04:54   Song Number : 38114   

Gulmohar Gar Tumhara Devta (1978) 03:26 13060
 
Poster of Devta (1978)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1978
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
On Screen Actors- 
Rakesh Roshan, Sarika
Duration : 03:26   Song Number : 13060   

Haal Chaal Thik Thaak Mere Apne (1971) 03:27 13715
 
Poster of Mere Apne (1971)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1971
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Salil Chowdhury
Duration : 03:27   Song Number : 13715   

Haath Chhute Bhi To Rishte Nahi Chhuta Karte Pinjar (2003) 06:52 12068
 
Poster of Pinjar (2003)
 
Category
Hindi Film
Year- 
2003
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Uttam Singh
On Screen Actors- 
Urmila Matondkar, Sanjay Suri, Priyanshu
Duration : 06:52   Song Number : 12068   

Hamen Raaston Ki Zaroorat Naram Garam (1981) 03:54 32121
 
Poster of Naram Garam (1981)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1981
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
Singer- 
Asha Bhosle
On Screen Actors- 
Swaroop Sampat
Duration : 03:54   Song Number : 32121   

Hamri Atariya Pe Dedh Ishqiya (2014) 04:14 32934
 
Poster of Dedh Ishqiya (2014)
 
Category
Hindi Film
Year- 
2014
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Vishal Bhardwaj
Singer- 
Rekha Bhardwaj
On Screen Actors- 
Madhuri Dixit
Duration : 04:14   Song Number : 32934   

Hawaon Pe Likh Do Do Dooni Chaar (1968) 03:24 13145
 
Poster of Do Dooni Chaar (1968)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1968
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Hemant Kumar (Mukherji)
Singer- 
Kishore Kumar
On Screen Actors- 
Kishore Kumar, Tanuja
Duration : 03:24   Song Number : 13145   

Hazaar Raahen Mudd Ke Thodisi Bewafaii (1980) 05:21 20512
 
Poster of Thodisi Bewafaii (1980)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1980
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
On Screen Actors- 
Rajesh Khanna, Shabana Azmi
Duration : 05:21   Song Number : 20512   

Ho Bahut Raat Huyi Musafir (1986) 07:30 40072
 
Poster of Musafir (1986)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1986
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
On Screen Actors- 
Naseeruddin Shah
Duration : 07:30   Song Number : 40072   

Hum Bhool Gaye Aks (2001) 05:25 21146
 
Poster of Aks (2001)
 
Category
Hindi Film
Year- 
2001
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Anu Malik
Singer- 
Hariharan
On Screen Actors- 
Manoj Bajpai
Duration : 05:25   Song Number : 21146   

Hum Ko Mann Ki Shakti Denaa Guddi (1971) 04:31 20564
 
Poster of Guddi (1971)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1971
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Vasant Desai
Singer- 
Vani Jayaram
On Screen Actors- 
Jaya Bachchan, Group Song
Raag- 
Kedar
Taal- 
Dadra Tal
Duration : 04:31   Song Number : 20564   

Humne Dekhi Hai Khamoshi (1969) 03:47 13538
 
Poster of Khamoshi (1969)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1969
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Hemant Kumar (Mukherji)
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Sneh Lata, Waheeda Rehman
Duration : 03:47   Song Number : 13538   

Humsafar Mere Humsafar Purnima (1965) 04:33 11953
 
Poster of Purnima (1965)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1965
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Kalyanji Anandji
On Screen Actors- 
Dharmendra, Meena Kumari
Duration : 04:33   Song Number : 11953   

Huzoor Iss Kadar Masoom (1983) 03:49 20569
 
Poster of Masoom (1983)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1983
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
Raag- 
Yaman
Duration : 03:49   Song Number : 20569   

Ishq Di Baajiyaan Soorma (2018) 04:52 40293
 
Poster of Soorma (2018)
 
Category
Hindi Film
Year- 
2018
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Shankar Ehsaan Loy
Singer- 
Diljit Dosanjh
On Screen Actors- 
Diljit Dosanjh
Duration : 04:52   Song Number : 40293   

Iss Mod Se Jaate Hain Aandhi (1975) 04:22 20588
 
Poster of Aandhi (1975)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1975
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
On Screen Actors- 
Sanjeev Kumar, Suchitra Sen
Raag- 
Yaman-Kalyan
Taal- 
Kaherava Tal
Duration : 04:22   Song Number : 20588   

Jaag Ke Kaati Leela (2002) 06:14 13609
 
Poster of Leela (2002)
 
Category
Hindi Film
Year- 
2002
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Jagjit Singh
On Screen Actors- 
Vinod Khanna, Dimple Kapadia, Others
Duration : 06:14   Song Number : 13609   

Jaane Do Mujhe Asha Bhosle 04:32 40901
 
Poster of Asha Bhosle
 
Category
Ghazal
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
Singer- 
Asha Bhosle
Duration : 04:32   Song Number : 40901   

Jaane Kahaan Dekha Hai Biwi Aur Makan (1966) 05:52 16074
 
Poster of Biwi Aur Makan (1966)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1966
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
Hemant Kumar (Mukherji)
Singer- 
Mohammed Rafi
On Screen Actors- 
Vishwajeet
Duration : 05:52   Song Number : 16074   

Jaane Kaise Beetegi Yeh Barsaaten Baseraa (1981) 04:27 36822
 
Poster of Baseraa (1981)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1981
Lyricist
Gulzar
Music Director- 
R D Burman
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Poonam Dhillon, Raj Kiran, Rakhi
Duration : 04:27   Song Number : 36822   
Karaoke Songs of gulzar, Sad Songs of gulzar, Love Songs of gulzar, Dance Songs of gulzar, Hip-hop songs of gulzar, Best songs of gulzar, Super hit songs of gulzar, hit songs of gulzar, duet songs of gulzar, solo songs of gulzar, old songs of gulzar, famous songs of gulzar, Hindi Karaoke Songs of gulzar, Hindi Sad Songs of gulzar, Hindi Love Songs of gulzar, Hindi Dance Songs of gulzar, Hindi Hip-hop songs of gulzar, best Hindi songs of gulzar, super hit Hindi songs of gulzar, hit Hindi songs of gulzar, duet Hindi songs of gulzar, solo Hindi songs of gulzar, old Hindi songs of gulzar, famous Hindi songs of gulzar, Sing Along Songs of gulzar, Sing Along Sad Songs of gulzar, Sing Along Love Songs of gulzar, Sing Along Dance Songs of gulzar, Sing Along Hip-hop songs of gulzar, Sing Along Best songs of gulzar, Sing Along Super hit songs of gulzar, Sing Along hit songs of gulzar, Sing Along duet songs of gulzar, Sing Along solo songs of gulzar, Sing Along old songs of gulzar, Sing Along famous songs of gulzar